Amel Soname Contact

agar kisi ko hum se contact karna ha to wo email ka zarya hum se contact kareen . dhoka bazoo se hoshyaar rahe jo amel soname naam ki jaise email,website, ya social media websites per id ya telephone number dal kar logo ko dhoka de rahe ha or apna app ko amel soname naam ka bohat bara Amel ya jadugar bata kar logo se paisa lay rahe ha . hamara ahsa logo se koi talooq nahi ha or na he hamara ahsa logo se kohi talooq ha jo amel soname naam se astana ya office khul ka betha ha . hamare kohi telephone support nahi ha. hamare sirf email support ha .is email k ilawa hamare kohi dosare email support nahi ha .email yeah ha amel_soname@yahoo.com

hamara is website www.amelsoname.com se kohi talooq nahi ha yeah hamare nahi ha or na he hum se munsalik ha


Thursday, September 15, 2011

Bacho ki nazar otarna ka tareeqa


As salamu allaiqum
Agar kisi ka bacho ko nazar lag gahe ho to us ko be rohani ilm se otara ja sakta ha . zada tar nazar chota bacho ko lagte ha . jab chota bacho ko nazar lag jahe to wo bohat zada tang karte ha . or bohat rote ha . ahse sorate main mah baap ko chaheya ka wo apna bacho ki kisi se nazar otarwahe . ya phir wo khod otarleen
Chota bacho ko nazar lagna ki alamateen yeah ha
1 bohat zada rona
2 zara zara se cheez pe tang karna
3 bohat zayda ziddi hona
4 bachain rehna
5 kamzoor rehna
6 bemar rehna
Bacho per se nazar otarna ka tareeqa
Jis be bacha per se nazar otarni ho us ko seda khara karleen . or ake unda lay kar sir se pyar tak pora dahera ki shakel main 7 dafa ghomahe . unda ko ghomate waquat 4 qul pareen or 4 dafa surah fateha pareen . phir wo unda kisi ahsee jaga per ja kar rakhde jaha per janweer is ko khalay jesa billi , chil , kauwa , wegara wegara yeah amal 3 din tak kareen inshallah hayrate angez natahij deakha ga





Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 

dua main yaad rakhya ga 
amel soname
amel_soname@yahoo.com








17 comments:

zeeshan said...

Assalamulaikum Jee Mayra aik baita hai woo bohat ziyada rota rahta hai usnay bohat ziyada parishan kia howa hai. agar koi uspay chilaya bhi tu phir bhi wo dhar jata hai. Bohat ziyada parishani hai app ka yeh tariqa may kar sakta hoon.PLease mujay jawab dain

Anonymous said...

allah ka kalam ap kisi k liye b padh sakte ho. bs allah pe yakeen rakkhe pura insallah ap k beta theak ho jayega

jawee..khan.s said...

assalamu alaikum mey re bhai ka beta hai jo 3saal ka hai wo bahot rota hai or ghar mey sab ko pareshan karta too keya mai os ke nazar utar saktahon plz... jawab dena im wating

Unknown said...

Jazakumallah

Anonymous said...

Assalamualaikum mera beta 7.5 saal ka hai wo ziddi ho gia hai school main teachers ki nahi sunta ghar main tou sahi partha hai but school ka kamm bhi pura nahi karta teachers kehty gain baat sunta nahi hai apni dunyia main magan rehta hai mujhy koi dua bata dain jis say ye behter ho jaiy parhaiy main dil

fauzia said...

meet baty 6 seal ki ha zidi Bhi ha or study my Bhi weak ha.kindly mujy is k lia kuch batay.

fauzia said...

Mery bary study my bohat weak ha .dehan hi nahi daty.mujy kuch bayay k ma kia perho.

Anonymous said...

assalamoalaikum,
mera bacha 1.5 saal ka hai,wo bahot hi ziddi hai,bahar k logo ko dekh kr zor zor se rone lagta hai,koi ghar me mehman aaye to usey dekh kr bhi bahot rota hai, me bahot pareshan ho gyi hu plz koi ilaj btaiye..

Anonymous said...

assalam alaikum
meri ek beti he Jo 1saal ki he saari raat roti he doodh bhi nahi peeti nahi kuch khati he kiya me iss ki nazar utaaroo ya koi wazeefa he to batadein thanks

Anonymous said...

Aoa mairi baiti 8 month hy ohs ko nazar bth jalti lag jati hy

Anonymous said...

Asalamo alikum mera beta 6 mahh ka ha or bohat rota ha koe ilaj ho to zror btaiye game plzz. I m waiting

Rehman Pasha said...

Asalam O Alaikum: mera aik beta hai us ko pta nhi nazar lagi ksi ki ya kia ho geya bohat kamzor aur sath motion bi lagay hai, boht rota aur zid karta hai 15 month ka hai,,, 3 din se motion lagy ksi dawae se aram nhi arha, plz koi acha sa mashwara dein.
Shukria

Anonymous said...

Ande ko fod kar ghumane hai kya??agar nahi tho kya fod kar aesi jagah rakhna hai kya jaha se janwar use khalein

kabir said...

asslam w alaikum

janab mujhe apne aap me ek aisa nayab ban na hai .k sari duniya me me apne us anokhe andaz se jana jawo.
me ek engineer hun.abhi abhi me ne apni pdayi khtm ki hai .to me chahta hun k me kuch aisa kro k me khaas ahmiyat wala bano.

jawab ka intezar

duwa ka talib

Unknown said...

kya banda apni nazar khud utar sakta ha???

Unknown said...

Assalm o Alikum molvi sahab mera pls ap se sawal ye hai meri beti aj jab se meri ammik yha se aye hai bht ro rhe hai chup nai horhe drko b dekha dia hai wo bol rhe hai hume b smjh nai arha kia hwa hai is bachi ko. ap mjhe btye aesa kia hai or q horha hai meri beti 8 months ki hai puri Masha Allah se. kia koi nazar lagi hai ya koi jhapta hwa hai mjhe batye apki bari mearbani hogy..shukriya

Unknown said...

Asalam alaikum mera beta bhut rota hai khana bhi nahi.use bhut Nazar hai.meri namaz nhi hai kya me utar skti hu Nazar

Popular Posts